donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Babar Ali Anees
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Garmii kaa roz-e-jang kii kyo.n kar karuu.N bayaa.N , *
Garmii kaa roz-e-jang kii kyo.n kar karuu.N bayaa.N ,
Dar hai ke masl-e-shamaa na jalne lage zabaa.N ,
vo luu ke alhazar! vo haraarat ke alamaa.N,
ran kii zamii.n to surKh thii aur zard aasmaa.N ,

aab-e-Khunk ko Khalaq tarastii thii Khaak par ,
goyaa havaa se aag barastii thii Khaak par ,

vo luu vo aaftaab kii shiddat vo tab-o-taab ,
kaalaa thaa rang dhuup se din kaa misaal-e-shab ,
Khud nahar-e-alqamaa ke bhii suukhe hue the lab ,
Khaime jo the habaabo.n ke tapte the sab ke sab ,

urhtii thii Khaak Khushk thaa chashmaa hayaat kaa ,
Khaulaa huaa thaa dhuup se paanii Faraat kaa ,

jhiilo.n se chaarpaaye na uThate the ta ba shaam ,
maski.n me.n machhlio.n ke samandar kaa thaa maqaam ,
aahuu jo kaahile the to chiite siyaah_faam ,
paththar pighal ke rah gaye the masl-e-mom khaam ,

surKhii u.Dii thii phuulo.n se sabzii gayah se ,
paanii kue.n me.n utaraa thaa saaye kii chaah se,

koso.n kisii shajar me.n na gul the na barg-o-baar ,
ek ek nakhal jal rahaa thaasuurat-e-chinaar, 
ha.Nsataa thaa koii gul na lahaktaa thaa sabzaraar ,
kaa.NTaa huii thiisuukh ke har shaakh-e-baar Daar ,

garmii ye thii kii ziist se dil sab ke sard the, 
patte bhii masle-e-chehraa-e-madquuq zard the, 

aab-e-ravaa.N se muu.Nh na uThaate the jaanvar ,
ja.ngal me.n chhipte phirte the taair idhar udhar, 
mardam the saat pardo.n ke a.ndar araq se tar ,
Khas_Khaanaa-e-mizhgaa.N se nikalatii na thii nazar, 

gar chashm se nikal kar Thahar jaaye raah me.n ,
par jaaye.n laakh aable_paa-e-nigaah me.n ,

sher uThte the na dhuup ke maare kachhaar se ,
aahuu na muu.Nh nikalte the sabzaazaar se ,
aa_iinaa mahar kaa thaa muqaddar Ghubaar se ,
garduu.N ko tap charhii thii zamii.n ke bukhaar se ,

garmii se muztarib thaa zamaanaa zamiin par ,
bhun jaataa thaa jo girtaa thaa daanaa zamiin par, 

girdaab par thaa sholaa-e-javaalaa kaa gumaa.N,
a.ngaare the habaab to paanii sharar fishaa.N ,
muu.Nh se nikal parhii thii har ek mauj kii zabaa.N ,
tah par the sab niha.ng magar thii labo.n pe jaa.N ,

paanii thaa aag garmii-e-roz-hisaab thii ,
maahii jo siikh-e-mauj tak aa_ii kabaab thii, 

aa_iinaa-e-falak ko na thii taab-o-tab kii taab ,
chhipne ko barq chaahtii thii daaman-e-sahaab ,
sab ke sivaa thaa garm mizaajo.n ko iztiraab ,
kaafuur-e-subah Dhuundhtaa phirtaa thaa aaftaab ,

bharhkii thii aag gumbad-e-charkh-e-asiir me.n ,
baadal chhipe the sab kurrah-e-zamharir me.n .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365