donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Babar Ali Anees
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aisee Ali Ke Laal Se Taqseer Kya Huwi, *
Aisee Ali Ke Laal Se Taqseer Kya Huwi,
Kya Jurm Kya Gunaah Huwa Kya Khata Huwi? 

Hai Mulk Se Gharz Na Usay Hubb-e-jaah Hai,
Qabze Mein Na Khazaana Hai Aur Na Sipah Hai,

Logon Se Raabta Hai Na Ghairon Se Raah Hai,
Jaa-e-nashast Qabr-e-risalat Panaah Hai; 

Naahaq Yeh Zulm, Haq Se Nahin Log Darte Hain,
Jang Uss Say Jis Ghareeb Pe Faakhe Guzarte Hain. 

Nana Hain Uske Sar Pe Na Haidar Hain Na Hasan,
Sadqe Ghareeb Bhai Pe Hojaaye Yeh Bahan,

Zindah Hai Jab Talak Yeh Toh Jeete Hain Panjatan,
Marzi Hai Dushmanon Ki Toh Hum Chhord Dein Watan; 

Gar Yaan Milega Chayn Na Zahra Ki Jaayi Ko,
Jangal Mein Jaa Rahegi Bahan Leke Bhai Ko. 

Bhai Ko Mere Paas Bulao Sunoon Main Haal,
Kya Baat Hai Jo Qaatar Aqdar Pe Hai Malaal,

Tanha Chala Na Jaaye Kahin Fatima Ka Laal,
Bhai Pe Kuchh Banay Toh Kholoongi Sar Ke Baal;
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338