donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bahadur Shah Zafar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii *
Baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahfil kabhii aisii to na thii

le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar
beqaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho gaii qaatil kabhii aisii to na thii

un kii aankho’n ne Khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu
ke tabiiyat merii maail kabhii aisii to na thii

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamkaayaa
taab tujh me’n maah-e-kaamil kabhii aisii to na thii

kyaa sabab tuu jo bigadataa hai "Zafar" se har baar
Khuu terii huur-e-shamaail kabhii aisii to na thii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 406