* Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi *
Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
Lay gaya chheen k kaun aaj tera sabr o qaraar
Bayqaraari tujhay ai dil kabhi aisi to na thi
Un ki aaNkhoN ne Khuda jaane kiya kya jaadoo
K tabeeyat meri maayal kabhi aisi to na thi
Chashm-e-qaatil meri dushman thi hamaisha laikin
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aisi to na thi
Paayey kooGhaaN koi zindaaN meiN naya hai majnooN
Aati aawaaz-e-salaasil kabhi aisi to na thi
Kya sabab tu jo biga.Dta hai Zafar se har baar
Wo teri hoor shumaayal kabhi aisi tona thi |