donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bahadur Shah Zafar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil kii merii beqaraarii mujh se kuchh puuchho nahii’n *
Dil kii merii beqaraarii mujh se kuchh puuchho nahii’n
shab kii merii aah-o-zaarii mujh se kuchh puuchho nahii’n

baar-e-Gham se mujh pe roz-e-hijr me’n ik ik ghadii
kyaa kahuu’n hai kaisii bhaarii mujh se kuchh puuchho nahii’n

merii suurat hii se bas maaluum kar lo ham-damo
tum haqiiqat merii saarii mujh se kuchh puuchho nahii’n

shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
main ne kii akhtar-shumaarii mujh se kuchh puuchho nahii’n

ai "Zafar" jo haal hai meraa karuungaa gar bayaa’n
hogii un kii sharm-saarii mujh se kuchh puuchho nahii’n

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 508