|
* Mai'n teri zindagi me'n rah ke harfe ibtada hota *
Mai'n teri zindagi me'n rah ke harfe ibtada hota
Fasana sunne walo'n ke liye bhi narwa hota
Agar aandhi na banta mai'n to phir "dast-e-saba hota
Ghazal kahta khushi se jhumta aur be nawa hota
Mere shero'n me'n chhup ke naghmagi noha bani hoti
Meri aa'nkho'n me'n kala rang kitna khush hua hota
Tarap uljhan mosalsal dar badar phirna mera sauda
Suku'n ki justaju karta to kab ka mar gaya hota
Agar ki ibtada lekin ke pahloo se nikalti
Har ik lamha moallaq hoke ham ko dekhta hota
Mujhe Mansoor ki jurra'at bhala kaise mili hoti
Mai'n thokar khake bhi duniya me'n keya mushkil kusha hota
E/1, Ravi Darshan, Off Carter Road,
Bandara (W), Mumbai-400050
|
|