donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Baqar Zaidi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil pe karte hai.n dimaagho.n pe asar karte hai.n , *
Dil pe karte hai.n dimaagho.n pe asar karte hai.n ,
ham ajab log hai.n zehano.n me.n safar karte hai.n ,
jab saraape pe kahii.n us ke nazar karte hai.n ,
miir saahab kii tarah umr basar karte hai.n ,
ba.ndishe.n ham ko kisii haal gavaaraa hii nahii.n ,
ham to vo log hai.n diivaar ko dar karte hai.n ,
vaqt ki tez-Kharaamii hame.n kyaa rokegii ,
ja.nbish-e-kalk se sadiyo.n kaa safar karte hai.n ,
naqsh-e-paa apanaa kahii.n raah me.n hotaa hii nahii.n ,
sar se karte hai.n mohim jab ko_ii sar karte hai.n ,
ham-nashii.n Khuub hai ye mahafil-e-yaaraa.N ke yahaa.N ,
vo saliqaa hai ke aibo.n ko hunar karte hai.n ,
kyaa kahe.n haal teraa ai mutamaddin duniyaa ,
ja.nvar bhii nahii.n karte jo bashar karte hai.n ,
ham ko dushman kii bhi taqliif gavaaraa na hu_ii 
log ehbaab se bhii sarf-e-nazar karte hai.n ,
marqado.n pe to charaaGhaa.N hai shab-o-roz magar ,
umr kuchh log andhero.n me.n basar karte hai.n ,
tazkaraa miir kaa Ghaalib kii zabaa.N tak aayaa ,
aitraaf-e-hunar, arbaab-e-hunar karte hai.n .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404