donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Baqi Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jamal-e-zaat ka charcha haseen lagta hai *
Jamal-e-zaat ka charcha haseen lagta hai
Sabhi ko apna qaseeda haseen lagta hai

Tere badan pe to khushboo ke deep jalte hai'n
Tere badan ka ujala ajeeb lagta hai

Tamam dukh ko samete huye woh ha'nste hai'n
Yahi to un ka rawayya haseen lagta hai

Jo jazba mohre lab ho nahi'n koii jazba
Jo bolne lage jazba haseen lagta hai

Khuloos ho to zaroorat nahi'n sanwarne ki
Baghair ghaaze ke chehra haseen lagta hai

"Baqa" yeh qadr-e-zamana ko ho gaya hai keya 
Manafqat hi me'n bandah haseen lagta hai

			9/972, Dastgeer Society, Federal 'B' Area
			Karachi-75950 (Pakistan)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 525