donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bashir Badr
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Vaqt-e-ruKhsat kahiiN taare kahiiN jugnuu aaye, *
Vaqt-e-ruKhsat kahiiN taare kahiiN jugnuu aaye,
haar pehnaane mujhe phuul se baazuu aaye,
bas gayii hai mere ehsaas meN ye kaisii mahek,
ko’ii Khushbuu maiN lagaauuN terii Khushbuu aaye,
maiN ne din raat Khudaa se ye du’aa maaNgii thii,
ko’ii aahaT na ho dar pe mere aur tuu aaye,
us kii baateN ke gul-o-la’ala pe shabnam bares,
sab ko apnaane kaa us shoKh ko jaaduu aaye,
(gul-o-la’ala : flowers and tulips)
un dinoN aap kaa aalam bhii ajab aalam hai,
shoKh khaayaa hu’aa jaise ko’ii aahuu aaye,
(aahuu : deer)
us ne chhuu kar mujhe patthar se phir insaan kiyaa,
muddatoN baad merii aaNkh meN aaNsuu aaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404