donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bashir Badr
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuch bhii nahiiN, *
Sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuch bhii nahiiN,
maaNgaa Khudaa se raat din tere sivaa kuch bhii nahiiN,
dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe,
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuch bhii nahiiN,
jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar,
bhejaa wahii kaaGhaz use hamane likhaa kuch bhii nahiiN,
ik shaam kii dahliiz par baiThe rahe vo der tak,
aaNkhoN se kii baateN bahut muuNh se kahaa kuch bhii nahiiN,
(dahliiz : threshold)
do chaar din kii baat hai dil Khaak meN so jaayegaa,
jab aag par kaaGhaz rakhaa baakii bachaa kuch bhii nahiiN,
ahsaas kii Khushbuu kahaaN, aavaaz ke jugnuu kahaaN,
Khaamosh yaadoN ke sivaa, ghar meN rahaa kuch bhii nahiiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355