donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bashir Badr
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* YU'NHI BESABAB NA PHIRA KARO,KOI SHAM GHAR BHI RAHA KARO, *
YU'NHI BESABAB NA PHIRA KARO,KOI SHAM GHAR BHI RAHA KARO,
WOH GHAZAL KI SACHCHI KITAB HAI,USE CHUPKE CHUPKE PARHA KARO,
KOI HAATH BHI NA HILAYEGA,JO GALE MILOGE TAPAK SE,
YEH NAYE MIZAJ KA SHAHAR HAI ZARA FAASLE SE MILA KARO,
ABHI RAAH MEI'N KAI MORH HAI'N KOI AAYEGA KOI JAYEGA,
TUMHE'N JIS KISI NE BHULA DIYA,USE BHOOLNE KI DUA KARO,
KABHI HUSN PARDA NASHIN BHI HO, ZARA AASHQANA LIBAS MEI'N,
MAI'N BAN SA'NWAR KE KAHI'N CHALOO'N MERE SAATH TUM BHI CHALA KARO,
NAHI'N BE HIJAB WOH CHAAND SAA, KE NAZAR KA KOI ASAR NA HO,
YU'NHI BE SABAB NA PHIRA KARO, KOI SHAAM GHAR BHI RAHA KARO.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 442