donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bashir Badr
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* In aaNkhoN se din raat barsaat hogii *
In aaNkhoN se din raat barsaat hogii
agar zindagii sarf-e-jazbaat hogii

musaafir ho tum bhii, musaafar haiN ham bhii
kisii moD par phir mulaaqaat hogii

sadaaoN ko alfaaz milne na paayeN
na baadal ghireNge na barsaat hogii

chiraaGoN ko aaNkhoN meN mahfuuz rakhnaa
baDii duur tak raat hii raat hogii

azal taa abd tak safar hii safar hai
kahiiN subah hogii kahiiN raat hogii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 382