donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bashir Badr
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main khizaan ki dhoop ka aaeyina keh main aik ho ke hazaar hoon *
Main khizaan ki dhoop ka aaeyina keh main aik ho ke hazaar hoon
kahien ansowoon ka hoon qafiLa kahien jugnooan ki qitaar hoon

Koyi tara toot ke gir gaya koyi chaand chut se utar gaya
kisi Aasma~ ki chaal se ju bikhur gaya wuhi haar hoon

Wuhi sookhay sookhay se peer hoon wuhi ujri ujri si tehniyaan
koyi phool jis per khila nahien main ghamon ki aisi bahaar hoon

mujeh kyun bulaati h ien pyaar se yeh chehuktay punchi mundeer se
main khamooshi ka dard hoon main udaas chaand ka pyaar hoon

main wuh shear hoon jisay aaj tuk na kaha gaya na suna gaya
jisay ungliyoon ne choowa nahi wuhi badnaseeb sitaar hoon
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 439