donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bazuddin Baaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujrim huu.N teraa aa mujhe jo chaahe sazaa de, *
Mujrim huu.N teraa aa mujhe jo chaahe sazaa de,
is dil me.n muhabbat kii sanam aag lagaa de,

jazbaat kaa dil me.n koii tuufaan uThaa ke,
kahte hai.n jise pyaar zamaane ko dikhaa de,

duniyaa se kabhii pyaar kaa shikavaa na karuu.Ngaa,
le haath me.n Khanjar merii gardan ko urhaa de,

in mast nigaaho.n se sar-e-shaam pilaakar,
diivaane ko kuchh aur hii diivaanaa banaa de,

ab pyaar kii is raah se kaanTo.n ko haTaakar,
dushman ko jalaane ke liye phuul bichhaa de,

ab husn-e-tajallii se jale 'Baaz' hai teraa,
ruKhsaar pe apne zaraa parde ko giraa de.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355