donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bedil Sarhadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nawazish se khurd ki, ya junu'n ki meharbani se *
Nawazish se khurd ki, ya junu'n ki meharbani se
Chalo kuchh to ta'aruf hogaya hai zindagani se

Fasano'n se na qisso'n se na ulfat ki kahani se
Hua jadoo dilo'n par sher ki shola fashani se

Khaza'n to hochuki rukhsat bahut muddat huii lekin
Baharo'n me'n chaman mahroom, keyo'n hai shadmani se

Na samjha aaj tak koii fasana meri chahat ka
Hazaro'n dastane'n ban gayee'n meri kahani se

Zaroorat hai amal ki bhi agar ho'n Khawahishe'n dil me'n
Badalte hai'n kaha'n halaat hasti khush gumani se

Tazaad-e-fitrat-e- aalam hai yak jaii nahi'n mumkin
Taaluq aag ka "Bedil" nahi'n hota hai pani se

			Editor "Sant Nirankari" Monthly, Sant Nirankari Mandal
			Nirankari Colony, Delhi-110009
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 725