donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Bekhud Dehlvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* UThThe terii mehfil se to kis kaam ke uThThe, *
UThThe terii mehfil se to kis kaam ke uThThe,
dil thaam ke baithe the, jigar thaam ke uThThe,
dam bhar mere pehluu meN unheN chain kahaaN hai,
baiThe, ke bahaane se kisii kaam se uThThe,
afsos se aGhyaar ne kyaa kyaa na male haath,
vo bazm se jab haath meraa thaam ke uThThe,
dunyaa meN kisii ne bhii ye dekhii na nazaakat,
un se na kabhii harf mere naam ke uThThe,
jo zulm-o-sitam tum ne kiye sab vo uThaaye,
ek ranj-o-alam ham se na ilzaam ke uThThe,
sadmeN to bahut qaid meN jhele mere dil ne,
jhonke na magar zulf-e-siyaah faam ke uThThe,
hai rashq ke ye bhii kahiiN shaidaa na hoN us ke,
turbat se bahut log mere naam ke uThThe,
afsaana-e-husn uska hai har aik zubaan per,
parde na kabhii jis ke dar-e-baam se uThThe,
aaGaaz-e-muhabbat meN maze dil ne uThaaye,
puuche to ko’ii ranj bhii ilzaam ke uThThe,
dil nazr meN de aaye us shoakh ko “Bekhud”,
baazaar meN jab daam na us jaam ke uThThe.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 479