donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Chiragh Jaipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ay sanam tujhse maiN jab door chalaa jauNga *
Ay sanam tujhse maiN jab door chalaa jauNga
yaad rakhna ki tujhe yaad bahut aauNga.

ye milan aur ye haseeN raat na jane kab ho
aaj ke baad mulaqat na jane kab ho
ab tere shehr musafir kii tarah aauNga.

chand ke aks meiN sooraj kii haseeN kiranoN meiN
jheel ke aaiine meiN behte huye jharnoN meiN
in nazaroN meiN tujhe maiN hi nazar aauNga.

yaad jab aayegi wo pehli mulaqat tujhe
aur muhabbat ke fasaane kii har ik baat tujhe
tere khawaaboN meiN khayaaloN meiN chalaa aauNga.

tujhko is geet ka har she’r karega bekal
meri yaad aayegi jab bhi tujhe ay jane-ghazal
naghma ban-ban ke khayaalat pe chha jauNga.

CHIRAGH JAIPURI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 464