* Jinhe'n sikhaya thaa tahzeeb ka sabaq ham ne *
Jinhe'n sikhaya thaa tahzeeb ka sabaq ham ne
Hamare bare me'n sangeen raiy rakhte hai'n
Radaye sabar me'n lipte huye yeh sannat faqeer
Samassiyao'n ka uttam upay rakhte hai'n
Mariz rango'n me'n apne yeh barg haye khaza'n
Hayat-e- nau ka tabassum chhupai rakhte hai'n
Yeh husn-e-fikar hai arbab-e-nazar ka ke sada
Sakoot me'n bhi ishare kinaye rakhte hai'n
Ghoroor se teri gardan tani huyi keyo'n hai?
Ke sar to kandho'n pe ham bhi uthai rakhte hai'n
137-A, Becker Hall, Clarion University of Pennsylvania
Clarion, Pennsylvania -16241-1232
|