|
* Meri zindgi ki kitab main koi naam hai to Ali ka hai *
Meri zindgi ki kitab main koi naam hai to Ali ka hai
Mujhe jaanta hai ye kul jahan k ghulam hai to Ali ka hai
Ye fasahatein,ye balaghatein,ye isharatein,ye ibaratein
Koi ayaton ko ye keh na de ye kalaam hai to Ali ka hai
Koi teer tha jo nikal gaya,woh zakat thi jo nikal di
Ye namaz hai to Ali ki hai,ye salam hai to Ali ka hai
Koi guftgu koho darmian,k Rasool hain sarelamakan
yahan qudsiyon ki majal kya,yahan kaam hai to Ali ka hai
Kabhi dekho baab-e-qubul main,kabhi jhanko bazme Rasool main
Koi baat hai to Ali ki hai,koi naam hai to Ali ka hai
Wo sitara dar pe utar gaya,wahan aftab palat gaya
wahi raat aur wahi din raha,ye nizam hai to Ali ka hai
Main dar-e-Ali ka faqeer hun,main "Naseem" rind-e-ghadeer hun
Mere lab pe ab koi tazkera,sare aam hai to Ali ka hai. |
|