* Jab khema-e-sarvar ko jalane lage aada *
Jab khema-e-sarvar ko jalane lage aada
Daman me lagi aag to ghabrai sakina
Ammu ko madad k liye ro ro k pukara
Tharrane laga hazrat-e-abbas ka laasha
Aayi ye nida hashr uthao na sakina
Abbas ko maqtal me rulao na sakina
Sadma jo pade sabr kiya karte hain bibi
Kab aal-e-nabi ghum se dara karte hain bibi
Mansha-e-ilahi me jiya karte hain bibi
Kuch maut k qanoon hua karte hain bibi
Manzil main ajal ki hain bulao na sakina
Abbas ko............................................
Is waqt to qanoon-e-mashiyyatse hain majboor
Majboor bhi kya paas-e-ajal hai hume manzoor
Bibi na do awaz k manzil hai bahut door
Tum royein to ban jayenge ehsaas me nasoor
Dekho na tarai ki taraf aao sakina
Abbas ko.............................................
Tum roti ho ammu pe aziyat ye hai bhari
Ab rooh tadapti hai musibat pe tumhari
Kano ka lahu ponchho zara roko ye zaari
Nuqsan kahin jaan ko pahunche na mai wari
Daman me lagi aag bujhao na sakina
Abbas ko................................................
Hai yaad tumhari wo hame tashna dahani
Nadim hain k saqqa bane aur laye na pani
Afsos ajal ne koi minnat hi na mani
Kaam ayi shuja'at hi na kaam ayi jawani
Us baar-e-nidamat ko badhao na sakina
Abbas ko................................................
Bahosh ho jazbat ki ro me nahi behna
Taumr hai ab ranj-o-musibat tumhe sehna
Zainab meri shehzadi ki aghosh me rehna
Sharm aati hai bibi hume saqqa nahi kehna
Hum ko pae imdad bulao na sakina
Abbas ko...................................................
Hum tadpenge bibi na kabhi ashk bahana
Dukha hua dil hai na ise aur dakhana
Ro ro k na faryad-o-fughan apni sunana
Dada ko najaf se pae imdad bulana
Karte hain madad hum bhi batao na sakina
Abbas ko........................................................ |