donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ehsan Saqib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ho sake to thiik kar le'n aayeno'n ke zaaviye *
Ho sake to thiik kar le'n aayeno'n ke zaaviye,
Be nisha'n kar de'nge warna khubsoorat hadse,

Hai agar alfaaz se rishta kisi tarseel ka,
Be khatar idraak ke saare dariche kholiye,

Kaam aa jati hai chhoti si shanasai kabhi,
Reshmi sanso'n ka kuchh to aks rahne dijiye,

Kis tarah giilii thakaawat se nikal payega woh,
Perh ke upar hai suraj aur lambe raaste,

Khush nigahi orh kar bazaar me'n jaae'n na aap,
Aadmi ke bhes me'n hai'n sher, chiite, bherhiye,

Daal de'nge tum ko "Saaqib" raushni ki raah par,
Be amaa'n ehsaas ke yeh toote phoote silsile.

					Islampur, Asansol-713301
					(West Bengal)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397