* kuch is adaa se milte ho jaanaa.N kabhii kabhii *
kuch is adaa se milte ho jaanaa.N kabhii kabhii
kaa.NTe bhii lagne lagte hai.n kaliyaa.N kabhii kabhii
jab zabt-e-Gam dil pe na jaanaa.N ko_ii rahaa
motii sajaa liye hai.n sar-e-muzgaa.N kabhi kabhii
shaayad ke naaKhudaa ko bhii logo Khabar na thii
ruKh apnaa mo.D letaa hai tuufaa.N kabhii kabhii
kuchh yuu.N lagaa ki husn sitaaro.n me.n ghir gayaa
dekhii jo un kii maa.Ng me.n afshaa.N kabhii kabhii
dil par lagii jo choT to jii bhar ke ro liye
yuu.N bhii kiyaa hai dard kaa daramaa.N kabhii kabhii
naadaa.N ho is qadar tumhe ye bhii Khabar nahii.n
chalataa hai masalehat se biii insaa.N kabhii kabhii
tum un ko kyaa kahoge jo jhuuThii anaa ke saath
dekhe gaye libaas me.n uriyaa.N kabhii kabhii
iisaar me.n vafaa me.n aqiidat me.n pyaar me.n
'Ejaz' vo lagaa hai numaayaa.N kabhii kabhii
|