donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Bin Zia Uganwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aankho.n me ajnabiyat anqa huwa hai paani *

 

Aankho.n me ajnabiyat anqa huwa hai paani

Chehre se dosto.n ke utra huwa hai paani

Darya-e beyaqee.n to purjosh hai magar ab

Zauq-e-amee.n ka partaw sahma huwa hai paani

De de tu chand qatrah yarab mujhe ghanimat

Kooye yaqeen taiba chhalka huwa hai paani

Zalim ko de hidayat wo zulm karna chhode

Mazloom ke saro.n se ooncha huwa hai paani

Aslaf  ki amanat kab tak sanmbhale rakhoon

Tahzeeb nao ka harsoo  badla huwa hai paani

Kab tak chadaye rakhe kankar ko degchi mein

Sabr-e-yaqeen madar ubla huwa hai paani

Ejaz bin zia bhi pyasa pada huwa hai

Ehsase tishnagi ka khaula huwa hai paani

***********************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429