donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Bin Zia Uganwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hamara Bihar *

 

             Hamara Bihar

 

Miljul ke geet gao hamara bihar hai

Khushyon ki lay sunao hamara bihar hai

Jaam-e-yaqeen pilao hamara bihar hai

Dukh dard bhool jao hamara bihar hai

Patjhad ke bad mausam-e-mahboob aa gaya

Har samt gul khilao hamara bihar hai

Rahe yaqeen mein ayein jo dushwar marhale

Seena sapar ho jao hamara bihar hai

Aanch aye jab ke desh pe allah na kare

Filfor jaan lutao hamara bihar hai

Ilm-o-hunar ke jaam se labrez ho sabhi

Raushan diye jalao hamara bihar hai

Kapda makan roti mile sabko zeenhar

Nazm-e-yaqeen jagao hamara bihar hai

Har aadmi mein pyar muhabbat rahe mudaam

Sab ko gale lagao hamara bihar hai

Sad sala jashn aur ye Mazhar ka jamiyah

Ejaz kuch sunao hamara bihar hai

************************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368