Gham ka suraj sar par raushan harsu aag ka darya sa
Tapti dhoop mein daud raha hai aj bashar tanha tanha
Apne dil ke darwaze ka qabza zang aalood
Zor lagaya hamne shayad dekho cheekh pada
Apne dil ka chhappar chhappar jane kyun bezar
Tip tip karta ashk bahaye aur kahe bhi kya
Wo to khud besatr hai phir bhi dekhe sabki or
Sab ka jism burahna yaro kiska kiska kare bhala
Paon pasare ghurbat mere ghar mein hai maujood
Faqah kash Ejaz ke ghar ab mehma.n bhej khuda
********************