Ki nahi maine agarche kuchh khata
De mujhe uski bhi lekin kuchh saza
Rat bhar jo giryazari mein raha
Subh dam wo gharq-e-duniya ho gya
Rat jago.n ki mahfilein thi.n char soo
Ghar me muflis ke faqat bujhta diya
Ki qadam bosi j o maa.n ki be shubah
Us khata ki chahta hoon ab saza
Ishq ke kuch to taqaze hain magar
Tu bata tu ne yahan kya kya kiya
Ghar mein ek mehman ki aamad huyi
Barkato.n ka mere ghar me dark hula
Nafrato.n ki parwarish ka hai asar
Phal shajar ka is liye kadwa laga
Ye makan barso.n se hai mahfooz kyun
Salf ki hai nev par shayad khada
Ab zaya se puchye mat hal-e-zar
Ro raha hai chehra ye hansta huwa
*********************