donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Bin Zia Uganwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Waqt ki dahleez par hai zindagi simti huyi *

 

Waqt ki dahleez par hai zindagi simti huyi

Har kisi chehre ki hai ab chashni bigdi huyi

Har shajar ka apna apna jane kyun kar hai mizaj

Shakh se hr shakh ki duri hai ab badhti huyi

Bant-te the qahqahe jo log woh ruposh hain

Ab zamane ki rawish  mein hai hasi ghat-ti huyi

Kab na jane gher le.n akar darinde be khatar

Har kisi ladki ki hai tanhayi ab simti huyi

Qatra qatra jal raha zaitoon ka abke shajar

Phir kabutar ki nada aye na kyun sahmi huyi

Kal gali  mein eik bachha rat bhar rota raha

Puri basti thi tahajjud mein faqat lipti huyi

Mar gaya thabhook se bewa ka ek bachha magar

Jashn mein thi char soo har shay wahan bikhri huyi

Rok le akar koi is bemurawwat waqt ko

Kis tarah duniya chalegi is tarah ghutti huyi

Roz-o-shab ke silsile mein yun to rahta hai tazad

Admi ki admiyat hai zaya bikhri huyi

*******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 493