Iradah hai faqat hirs-o-hawa ka
Use to zom hai apni wafa ka
Main saabit kaise karta begunahi
Mujhe kab ilm tha uski dagha ka
Mere hone na hone ka sila hai
Yahi to raz hai lekin wafa ka
Hisare kun me thi tazyeen duniya
Bahana tha ye adam ki khata ka
Utha kar rakh do ab teer-o-kama.n ko
Taqaza hai yahi sabro raza ka
Gaderi ka iradah neik hi tha
Use kab ilm tha apni khata ka
Jise ejaz irfan-e- yaqeen hai
Wahi bas khas bandah hai khuda ka
*************************