donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Bin Zia Uganwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi ke har ta-alluq ka karam hone to do *

 

Zindagi ke har ta-alluq ka karam hone to do

Rozo shab me fasla thoda sa kam hone to do

Waqt ki zarkhez mitti haath me a jayegi

Sa-ate azm-e-yaqeen ko aur nam hone to do

Kab talak pushta lagaun main faseele jism par

Theek sab ho jayega unka karam hone to do

Mujhpe raushan ho hi jayega hare ek raz-e-hayat

Meri binayi ko thoda mohtaram hone to do

Tumko jine ki tarah jine ka fun a jayega

Ka-saye dil ko zara labreze gham hone to do

Ek paude  ne ye bargad se guzaish ki zaya

Apne sadqe me mujhe bhi muhtashim hone to do

Fikro fun me yun hadeese sher zam hone to do

Matlaye sani ko phir se khush qadam hone to do

Bad muddat yad rakhega zamana bilyaqeen

Dastane zindagi apni raqam hone to do

Khatm ho jayegi ye tere takabbur ki bisaat

Waqt ki maujo.n me thoda ze-o- bam hone to do

Sab ke hisse ki hadeese agahi mil jayegi

Aye zaya dil ki zameen ko thoda nam hone to do

*************************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 375