donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Bin Zia Uganwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Naqshe arzan ho ke akse motabar baqi rahe *

 

Naqshe arzan ho ke akse motabar baqi rahe

Kuch na kuch to waqt ki deewar par baqi rahe

Shidatte jazbaat ka kuch to asar baqi rahe

Khake dane dil me koi to sha-rar baqi rahe

Kam se kam itna to ho ke ham suku.n se sans lein

Ghar me apne koi rozan koi dar baqi rahe

Har taraf chikhe.n hain sannaate.n hain aur bechargi

Sochta hun kaise khushboo ka nagar baqi rahe

Main pighal jaunga phir gham ki dahakti dhoop mein

Sehn-e-dil me un ki yado.n ka shajar baqi rahe

Amn-o-ulfat ka payambar har basher ho daher mein

Be khatar ho kar jiye aur be zarar baqi rahe

Aks apna dekhke hamko pashemaani na ho

Bad numa chehre pe rang-e-khush nazar baqi rahe

*******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 349