donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Bin Zia Uganwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aankhe.n talash karti hain bebak aarzoo *

 

Aankhe.n talash karti hain bebak aarzoo

Bikhri huyi hai charo.n taraf khak-e-aarzoo

Woh le gaye hain tan se hamara sar-e-hazee.n

Achha huwa ye bojh tha bebak-e-aarzoo

Kashkol aarzoo meri bhar jati bilyaqee.n

Izhar muddaa mein thi namnak-e-aarzoo

Itna sanbhal sanbhal ke main rakhta hoon paaon

Udne na di kahi.n bhi kabhi khake-e-aarzoo

Dil mein hamare mauje tamanna thi mojzan

Aanko.n mein tairti thi hawasnak-e-aarzoo

Kasa badast baitha hai har shakhs aye Zia

Kaise bachaye.n daulat-e-idrak-e-aarzoo

*******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362