donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Bin Zia Uganwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nigahe bekhata phir bhi jigar ke paar chalti hai *

 

Nigahe bekhata phir bhi jigar ke paar chalti hai

Idhar main sar uthata hoon udhar talwar chalti hai

Kabhi is paar chalti hai kabhi us paar chalti hai

Hawaye maslehat rah rah ke shola bar chalti hai

Bada khudgarz hai is daur ka har aadmi zahid

Ibadat ke pase pardah talab do char chalti hai

Nahi kasa yaqee.n ka hai gadaye be amaa.n hoon main

Barahna sar ana meri pas-e-deewar chalti hai

Kabhi sudo zayan ki fikr se aazad ho zahid

Ke bazaar-e junu.n mein azmat-e-dastar chalti hai

Ye kya turfe tamasha hai ke har bazm-e-tamanna mein

Nidamat ki mere hi sar pe kyun talwar chalti hai

Larazta rahta hai ab khanaye dil gham ki aandhi se

Kabhi chhat udne lagti  hai kabhi deewar chalti hai

Yahi to  hota aya hai kare koi bhare koi

Chhuri gardan pe hai meri magar har bar chalti hai

Mujhe aasebi zeene kya mere saaye darate hain

Ajab hai khauf ka manzar nazar bezar chalti hai

Mahaze-jung se pahle jala dee.n kashtiya.n sari

Ke apne zore bazu par faqat talwar chalti hai

Kisi ki kab chali hai umr bhar Ejaz duniya mein

Kahin har bar chalti hai nahi harbar chalti hai

Meri parchhai.n bhi Ejaz koi chhoo nahi.n sakta

Ke mere pichhe pichhe waqt ki raftaar chalti hai

**********************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366