donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Amavas meiN nikaltey they to wehshat banT'tey they *
Amavas meiN nikaltey they to wehshat banT'tey they,
kabhi sa'ye kabhi dil meiN bagulay nachtey they

ghani chaoN ke neechy aaj wo sasta rahey haiN,
jo kal tak waqt se agey nikalna chahtey they

abhi jo mas'ala hay hurmat-e-alfaz ka hay
kahaN kasa ba-kaff they, yaar ham kab mangtey they

tumheN malum hay ahwal us basti ka yaro?
wahaN ke log sary ism-e-Azam jantey they

makaN se la-makaN tak hukmrani thi hamari
kabhi jinn-o-malak ham ko hi qibla jantey they

charagh-e-aasmaN, mehtab ye sary sitarey
falak pr apni khatir hi to sotey jagtey they

merey Maula (r.a.) to Shakir aasmaN ke rastoN ko
zameeN se bhi ziada jaanty pehchaanty hotey...
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381