|
* Bar bar kya kartey *
Bar bar kya kartey
eitbar kya kartey
haar man beTha tha,
us pe waar kya kartey
tu bata ke tery bad,
mery yaar! kya kartey
khud se bhi adawat thi,
tum se pyar kya kartey
wo ana se khela tha,
derkinar... kya kartey
pyar pyar hota hay
karobar kya kartey
gham se pyar tha Shakir,
ghamgusar kya kartey
|
|