* zindagi ka imtehan kuch aisa laga mujhay *
zindagi ka imtehan kuch aisa laga mujhay
har sawal aasan per mushkil laga mujhay
uss dar ki talash main bhatka eik umer
sehra main sarab sa dhoka laga mujhay
meri aankhoon ki surkhiyan theen baykhuabi ki ghammaz
meri aazmaish ka samar eik jaam-e-zehr laga mujhay
uss nay kaha iss dar say wapas laut jao
shehr bhi weerana sa sehra lagay mujhay
ik umer guzri tu achanak ik khayal sa ayaa
bay sabab guzri, zindagi nay mardala mujhay
kisi nay theek hi kaha hai aay hamdam
maut nay nahin , zindagi nay mara mujhay
|