* Zindagi ki tareek rahoon main *
Zindagi ki tareek rahoon main
Eik anjani manzil ki talash main
Uss ka saath hota agar
tu kitna acha tha
uss kay wajood ka ahsas
Jaisay ghup andhairay main
Roshni ki eik kiran
Umeed-e- Subah
Jo zulmat ki gehri tareeki ko
mitanay ki wahid umeed thee
Lekin tum nay tu iss safar ki agahaz main
Mera saath chor dia tha
Mera saath chor dia tha
|