* Mairay dil maiN teri chahat ke siwa kuch bhi nahiN *
Mairay dil maiN teri chahat ke siwa kuch bhi nahiN
Iska anjaam halakat ke siwa kuch bhi nahiN
Zindagi kaisay guzar paye tere bin hamdam
Zindagi jab teri adat ke siwa kuch bhi nahiN
Zeest ke saath hui khatm ye saaye ki talaash
Haasil-e-zeest tamazat ke siwa kuch bhi nahiN
Usko chaha hai jo barsoN to samajh paya hooN
Uska inkaar ijazat ke siwa kuch bhi nahiN
Apnay halaat badalnay ki faqat aik kaleed
Apni bigRi hui halat ke siwa kuch bhi nahiN
Ya Khuda kaisa maqaam aya hai jeewan maiN mere
Mairay chehre pe nidamat ke siwa kuch bhi nahiN
Ye khushi pal ki hai, mat iska bharosa karna
Ye to qismat ki shararat ke siwa kuch bhi nahiN
Kitni mayoos hai ye teri nawa aaj Saraab!
Jisko matloob sama'at ke siwa kuch bhi nahiN
***** |