* Tumharay dar pe sada kham jo sar ko kartay thay *
Tumharay dar pe sada kham jo sar ko kartay thay
Malayeka bhi to sajday bashar ko kartay thay
Ye mas'ala tha hamaiN ehd-e-tark-e-ishq ke waqt
Jo ehd kartay thay, ham umr bhar ko kartay thay
Gaye thay dasht maiN, phir bhi na haaye hosh gaya
Ke jangaloN maiN bhi ham yaad ghar ko kartay thay
Khud apni aaNkh se pehchaan na sakay khud ko
So roz yaad tumhari nazar ko kartay thay
Khabar jo milti ke iska sira nahiN hai koyee
To muntakhib ham usi rehguzar ko kartay thay
Jo bai-hisaab hai, usko hisaab do to sahi
Bohot shumaar to tum khair-o-shar ko kartay thay
Girati rehti thi har roz waqt ki aandhi
Saraab sayebaaN jis jis shajar ko kartay thay
****** |