donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ChHuptay na chHupanay say, jazbaat kuchH aisay thay *
ChHuptay na chHupanay say, jazbaat kuchH aisay thay
Izhaar bhi mushkil tha, halaat kuchH aisay thay

Ab yaad nahiN kaisay, ye umr guzaari hay
JooN khwaab maiN chaltay hoN, din raat kuchH aisay thay

Ghabra ke uTh aaye haiN, us jashn-e-tarab se ham
SaazoN se lahoo Tapkay, naghmaat kuchH aisay thay

AchHa hai ke dunya ne, but ham ko bana Daala
Warna to na seh paatay, sadmaat kuchH aisay thay 

Manind-e-Saraab apnay deewanay ko dauRaaooN
Us husn ke phir taiwar, us raat kuchH aisay thay
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357