donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aisa kahaaN ke shehr se khaali chalay gaye *
Aisa kahaaN ke shehr se khaali chalay gaye
Jholi maiN dard bhar ke sawali chalay gaye

Maloom tha ke raah adam ki dikhaai hai 
Phir bhi tumhari baat na Taali, chalay gaye

Daikha tha laRkhaRa ke bhi, aya nahiN koyee
Hasti phir apni aap saNbhaali, chalay gaye

Aye tumharay shehr maiN to kia bura kia?
AaNkhoN ki thoRi pyaas bujha li, chalay gaye

Ham jin ke intezaar maiN khud ko sajaaye thay
Aye to ek nazar bhi na Daali, chalay gaye

Ab kia chaman sajay ga kabhi apnay dais ka
Is baagh ko to chHoR ke maali chalay gaye 

ToofaN ke waqt ek hi kashti thi shehr maiN
Afsos! us maiN shehr ke waali chalay gaye

Dunya maiN ek naqsh bhi chHoRa nahiN Saraab!
Ham sang apni khaam khayaali chalay gaye
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344