donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Naghma wahi bajta tha magar saaz naye thay *
Naghma wahi bajta tha magar saaz naye thay
Har baar uThanay ko tere naaz naye thay

Har baar mujhay qatl kia aur tarah se
Har baar tere shehr ke andaaz naye thay

Mat ro ke jafa bhi mili, ilzaam-e-jafa bhi
Kia ehl-e-muhabbat ke ye aizaaz naye thay?

Har harf-e-tasalli mujhay ek boond ajal tha
Dam yuN bhi nikalta tha ke dam-saaz naye thay

Pasti ko balandi ki sanad mil gayee yaaro
In past se aflaak ke shahbaaz naye thay

PoochHo na qasam toR di kioN tark-e-wafa ki
Us husn ke us raat kuch aijaaz naye thay

Khul jaaye na kioN raaz-e-wafa saaray jahaaN per
Har roz Saraab! aap kay hamraaz naye thay
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412