donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* La-ta'alluq wo banay haiN meri ruswayee se *
La-ta'alluq wo banay haiN meri ruswayee se
Phir gila kaun karay aik tamashayee se

Aik lamhay ko bhi tanha nahiN hotay wo log
Umr bhar saath nibhatay haiN jo tanhayee se

Aaj phir kis liye badal maiN chHupa jata hai
Chaand Darta hai faqat teri khud-arayee se

Raaz-e-dil kehne ki koshish ka nateeja ye hua
Raaz dil maiN hi raha, lab gaye goyayee se 

Mat bahanay se mere zakhm kuraid, aye dunya!
Tu mujhay baaz hi rakh apni maseehayee se

Isko aateeN hi nahiN sood-o-zyaaN ki baateN
Koyee sauda nahiN kar paayega saudayee se

Ham ne maana ke tamanna teri kuch aur sahi
Ek ghaRi mil to le is apnay tamannayee se

Saari dunya ka bharam rakhnay ki koshish maiN Saraab
Saari dunya ko laga kartay haiN harjayee se
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380