donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hareef-e-shouq khud apna wajood hi to raha *
Hareef-e-shouq khud apna wajood hi to raha
Wagarna maangnay waloN pe wo sakhi to raha

Khabar mili hai ke aaghaaz hi nahiN mumkin
Bohot hi khoob ye anjaam-e-aashiqi to raha

Ye maantay haiN ke pyaasa raha hai dil ye sada
To kia ye kam hai ke sairaab-e-tashnagi to raha

Har aik sub'h naya zakhm le ke aati thi
Khayaal-e-khaam maiN har zakhm aakhri to raha

Ham usko paa sakaiN, aisa bhala naseeb kahaaN
Yahi bohot hai ke kuch rabt wajibi to raha

Ye sach hai door hua izteraab-e-laa-ilmi
Par uske baad sada karb-e-aagahi to raha

Hamaray dil ke muqaddar maiN sub'h thi hi nahiN
Yahi bohot hai ke baizaar-e-teergi to raha

Ye gham na kar ke na deedaar mil saka aaye Saraab!
Bajaaye-khud ye tera shouq deedni to raha
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353