donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bhala kahaaN paak-damani maiN, wo kaif jo dil ke daagh maiN tha *
Bhala kahaaN paak-damani maiN, wo kaif jo dil ke daagh maiN tha
Huay haiN zahid bhi rind daikho, nasha na maye na ayaagh maiN tha

Jo dard mairi nawa maiN utra, muhabbatoN ka ameen Thehraa
Meri gawaahi to dai raha tha, har aik bulbul jo baagh maiN tha

Meri nigaahoN maiN bas gayee thee, kuch is tarah teergi ke logo
Jab aa gayee to nazar na aayee, wo sub'h jis ke suraagh maiN tha

Mujhay murawwat ki hai wo aadat, ke raat ko raat keh na paaya
Wo hosla kab mujhay mayassar, jo neem-shab ke charaagh maiN tha

Saraab! tu ne ghazal kahi hai, to aik kaar-e-ghalat kia hai
Tamaam alam maiN beh chala hai, jo zehr tairay dimaagh maiN tha
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394