donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aur bhi kuch gham haiN jin ko maiN bayaaN karta nahiN *
Aur bhi kuch gham haiN jin ko maiN bayaaN karta nahiN
Aam itni bhi ye dil ki daastaaN karta nahiN

La-makaaN ki wus'atoN se aashnaa jab se hua
Tab se ye bay-ghar kabhi fikr-e-makaaN karta nahiN

Zarf bhi darkaar hay zabt-e-gham-e-ulfat ke saath
Khamushi ko guftagoo, chup ko zabaaN karta nahiN

Kuch khata apni bhi shaamil hay is apnay haal maiN
Dushmani yooN hi kisi se aasmaaN karta nahiN

Mauj-e-sarkash! ab talaatum ki zaroorat hay tujhay
Ye sukoot-e-behr tujh ko baikaraaN karta nahiN

Zahido! sun lo, jisay irfaan Uska mil gaya
Wo hisaab-e-khair-o-shar, sood-o-zayaaN karta nahiN

Kia Daratay haiN usay sab talkhi-e-ayyaam se
Wo jo tairay gham maiN fikr-e-do-jahaaN karta nahiN

Ja pohuNchta hooN najanay kin zamanoN maiN Saraab!
Khud ko jab dil aur falak ke darmiaaN karta nahiN
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372