donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Abhi kisi dard ki musafat *
Abhi kisi dard ki musafat
Kisi ke zakhmi paroN te ty ki
Abhi kisi yaad ka tasarruf
Kisi ke hosh-o-khirad sy chHooTa

Abhi kisi zakhm ki kahani
Fiza maiN tehleel horahi hy
Abhi kisi aarzoo ka pehra
Kisi ke qalb-o-nazar pe TooTa

Abhi kisi raat ka tasalsul
Kisi shu'aa-e-sahar sy TooTa
Abhi nayee sub'h ka ujaala
Naye kisi baam-o-dar sy phooTa

To ji maiN aaya, kisi sy poochHeN
Ke kia milan hy? Yahi milan hy?
Ke jiski muddat se aas maiN thy
Ke kia yahi wo visaal-rut hy?
Ke jiski sadioN sy pyaas maiN thy

Magar ye naubat bhi aa na paayee
Ke dil sy khud ek jawaab aaya
NahiN nahiN, ye milan nahiN hai
Visaal ka pairahan nahiN hai
Agar ye badla hai aaj manzar
To iski ek dukh-bhari wajah hai

Ke aaj insaan mar gaya hy
Jo sochta tha, jo bolta tha
Jo chahta tha, jo maangta tha
Wo mar gaya hy
Jo bach gaya hy
Wo aik tan hy
Faqat badan hy
Ke saaNs lena hy kaam jiska
Hazaar apny sy paikaroN maiN
Na koyee pehchaaN, na naam iska
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351