donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kia hua usko agar meri wafa yaad nahiN *
Kia hua usko agar meri wafa yaad nahiN
Ab to is shehr maiN bandoN ko Khuda yaad nahiN

Aakhri baar ki baarish ko zamanay guzray
Shehr maiN aayee thi kab baad-e-saba yaad nahiN

Zindagi guzra hua khwaab nazar aati hai
Kia bhula Daala hai, kia yaad raha, yaad nahiN

Intezaar iska tha muddat se, yahi yaad hai bas
Kiska paighaam ye layee hai hawa yaad nahiN

Ye khabar hai ke ye manoos si khushboo hai magar
Kaisay manoos hai, ye baat zara yaad nahiN

Shiddat-e-dard ne kuch hosh gaNwaaye aisay
Koyee dukh, zakhm koyee, koyee dawa yaad nahiN

Sub'h ko DhoonDe gi ye ja ke kahaaN jaa-e-panaah
Apna anjaam shab-e-taar ko kia yaad nahiN

Jaisay kho jata hai chup chaap fizaaoN maiN Saraab
Apna qissa bhi tha paani pe likha, yaad nahiN
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361