donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MuddatoN se aaNkh apni, raat bhar nahiN lagti *
MuddatoN se aaNkh apni, raat bhar nahiN lagti
Is liye sahar ham ko, ab sahar nahiN lagti

Waqt ke tasalsul maiN, aik si siyaahi hai
Roshni koyee ham ko, moatabar nahiN lagti

PaththaroN ke seenay par, dastaan likh paaye
Is qadar qavi to ye, chashm-e-tar nahiN lagti

Rooh maiN samaayee hai, is tarah ye tanhaayee
Koyee shaye bajuz ham ko, baam-o-dar nahiN lagti

Aasmaan par bijli, zor se jo kaRki hai
Ye bhi dil ki halat se, bay-khabar nahiN lagti

Zindagi ka kia kahiye, tab udher hi laati hai
Apni ye tabiyyat bas, jab jidhar nahiN lagti

Us ko bhool kar apni, zindagi guzar jaaye
Us ki chashm-e-naaz itni, bay-hunar nahiN lagti

Zindagi ne bakhshay haiN, zakhm is nawayyat kay
Koyee bhi dawa ham ko, kaargar nahiN lagti

YuN to us ki nafrat bhi, hay kamaal ki laikin
Jis qadar mohabbat thi, us qadar nahiN lagti

MuddatoN se bastay haiN, sab Saraab sehra maiN
Phir teri tabiyyat kioN, apnay ghar nahiN lagti
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 373