donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aakhri raat hai Aakhri baat hai *
Aakhri raat hai
Aakhri baat hai
Aakhri aaj un se mulaqaat hai

Haath haathoN maiN haiN
Ashk aaNkhoN maiN haiN
Aakhri aaj mausam ki barsaat hai

Aaj ke baad sub'heN nahiN aayeNgi
Phir ujalay kahaN, phir sawairay kahaN
Phir chamakdaar sooraj ki kirnaiN kahaN
Phir wo mausam kahaN, wo nazaray kahaN

Aaj ke baad to
Raat hi raat hai
HaN ye tai kar lia
Raat hi raat hai

Aaj dil ki har ek baat keh Daalna
Aaj taalay zabanoN pe mat Dalna
Aaj aaNkhoN ka paani baha Daalna
Aaj aaNkhoN maiN unko basa Daalna

Roshni phir kahaN
Phir ujalay kahaN
Phir wo mausam kahaN
Wo nazaray kahaN

Aaj ke baad to 
Raat hi raat hai
HaN ye tai kar lia
Aakhri raat hai
Ham ne tai kar lia
Aakhri baat hai

Aaj dil maiN koyee baat reh na sakay
Aaj itna kaho
Aaj itna suno
Phir kabhi kuch na kehne ki hasrat rahay
Phir kabhi kuch na sun'ne ki khwahish rahay

Aaj ke baad to 
Raat hi raat hai
Han ye tai kar lia
Aakhri raat hai
Ham ne tai kar lia 
Aakhri baat hai

Aaj ke baad rahaiN badal daiNgay ham
Phir se tareek rahoN pe chal daiNgay ham

Aaj ke baad to 
Raat hi raat hai
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 418