* Din suhana teri talaash maiN hai *
Din suhana teri talaash maiN hai
Waalihana teri talaash maiN hai
Jis ko tu ne adhoora chHoR dia
Wo fasana teri talaash maiN hai
Ek mujhi per ye barhami kioNkar
Kul zamana teri talaash maiN hai
Ye to khud ab usay bhi yaad nahiN
KioN diwana teri talaash maiN hai
KioN na qatil ho tu aye teer-e-nazar
Khud nishana teri talaash maiN hai
Meray shahbaaz! tu buland to ho
Aab-o-daana teri talaash maiN hai
Tujh se pehle se aye sitam! dil maiN
Ek bahana teri talaash maiN hai
Garmi-e-ishq! aa ke is dil ka
Sard-khaana teri talaash maiN hai
Tujh pe saabit hai jurm-e-ishq Saraab!
Taazyana teri talaash maiN hai
******* |